Sunday, 14 June 2015

Mera sheher! :)

Aaj barson baad kadam apne sheher ki taraf badhe. .
Wo sheher jahan zindagi ke kuch khubsurat waqt guzre the kabhi. .
Uss zameen ki mitti aaj bhi apni si lagi. .

Sheher chhota zarur hai mera, log bade dilwale hain. .
Hamari khushi me humse zyada khush hone wale aur hamare gham me hum se zyada ghamgin. .

Aaj barson baad kadam apne sheher ki taraf badhe. .
Kuch anjaan, kuch jaane pehchane chehre nazar aaye. .
Kuch khush hue, kuch bahot khush hue milke. .
Sheher chhota hai na, khushi ke siwa kisi aur cheez ki gunjaish hi nahi. .

Aaj barson baad kadam apne sheher ki taraf badhe. .
Zindagi ki uljhanon me mujhe yaad na raha mera sheher. .
Lekin, ye sheher aaj bhi mujhe dekh muskura raha hai. .
Himmat, hausle, jeet, haar ke beintiha kisse hain iske paas. .
Ek kissa hamara bhi hai. .
Khwabo ki kahani jo iss sheher ne dikhayi. .

Ye sheher mujhe aaj bhi pehchanta hai. .
Un chhoti chhoti galiyon me aaj bhi bade bade khwab baste hain. .
Kabhi humne bhi aise hi khwab dekhe the. .
Khwab to poore ho gaye, lekin sheher kahin peeche chhut gaya. .

Aaj barson baad kadam apne sheher ki taraf badhe. . !! :)

- © Sheerin Naz.

© Writing Bells. | Blogger Template by Enny Law