Ab meri qalam mera sath nahi deti. .
Ye siyahi, ye kagaz ab mujhse guftagu nahi karte. .
Wo alfaz jo meri soch ko zaahir karte the naraz hain mujhse. .
Labon ki muskurahat tham se gayi hai, aankhon me nami bas si gayi hai. .
Khuli aankhon se khwab dekhne wala wo dil. .
Ab khwabon ke tassavur se bhi darta hai. .
Shayad, zindagi ise hi kehte hain. . Har waqt badalne wali. .
Jo kabhi meri zindagi ki manzil tha. . Aaj bas ek purani yaad banke reh gaya hai. .
Ranjishien bahot hain, shikhayatien bhi hain beshak. .
Lekin afsos, ye dil aaj bhi tujhe baddua nahi de pata. .
Meri manzil ka to rasta hi chheen liya tune. .
Magar khuda kare ki tujhe teri manzil zarur mile. .
Mere na sahi, kam se kam tere hi khwabon ko aasman mile. .
Kyunki, khwab kisi ke bhi ho, pure hone chahiye! :)
© Sheerin Naz
No comments:
Post a Comment